Friday, February 27, 2009
"WOH CHEEKHEN"
Us band darwaaze ke peeche se aati thi woh cheekhen.
Roz guzarta tha main bhi usi darwaaze ke samne se.
Kabhi un cheekhon pe gaur nahin kiya tha maine, par ek din jab un cheekhon me kahin mujhe khud ki cheekhen sunai di tab samajh saka ke ……
Woh cheekhen thi unki jo mare ja rahe hain;
Jo jee kar bhi, kabro me dhanse ja rahe hain.
Woh cheekhen thi unki jo cheekhte the khud to;
Aur doosro ki Woh cheekhen kuchalte ja rahe hain.
Woh laashen bichi thi, har shakhs mar chukka tha;
Tha manzar kuch aisa har pal ruk chukka tha.
Woh laashen thi khaali, har shakhs bik chukka tha;
Ab sunta tha uski jisse mil chukka tha.
Woh jo karte the baaten doosro ke bhale ki ;
Ab khud ka bhala hi kiye ja rahe hain.
Uski tum suno na, khuda ne kaha hain,
Jo khud ko khuda keh ke karta guman hain.
Par khuda ki sune kaun, humko dhongi bhala hain ;
Usi ki hain hasrat aur khuda se gila hai.
Ab to manzar hai aisa, jo kabhi na hua tha;
Thookte the hum jinpar, ab unhi ki sune ja rahe hai.
Na khilaane ko roti na dene ko kafan hai;
Khud ko hi khilaane ki aisi lagan hai.
Dhak kar bhi khudko hum sab besharam hai;
Par hai woh jo bhookha woh uske karam hai.
Badal denge duniya ye khai kasam hai,
Bas baaten hai ye sab, aur baaten kiye jaa rahe hai.
Pooju har Mandir me Allah ko, aur har Masji me Raam;
Pukaaroo Girje me Govind ko, aur Gurdware me Isaa ko har shaam.
Koi fark dikhta nahin inme, jab bhi karta hu dyaan;
Sabki shaklen ek hai bas humne badal diye hai naam.
Khuda bhi hai rota dekh ke is jahan ko,
Karte the jiski ibaadat;
Aaj usika hi seena, chalni kiye ja rahe hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
6 comments:
'Koi fark dikhta nahin inme, jab bhi karta hu dyaan;
Sabki shaklen ek hai bas humne badal diye hai naam.'
these lines r the heart of the poem, they have embraced the highest of feelings in them.
very nice sameer! u r a readable writer.
'Koi fark dikhta nahin inme, jab bhi karta hu dyaan;
Sabki shaklen ek hai bas humne badal diye hai naam.'
these lines have all of the world in them.
very nice sameer! u r a readable writer!
thx sara...
Khud ko hi khilaane ki aisi lagan hai.....
From 1st to last wrd it is Mindblowing!!!
Another masterstroke...Go on buddy!!!
This is extremely good, Samir. It really captures all of india. Neeraj
thnx all...
Post a Comment