Wednesday, September 24, 2008

RISHTEY


MERE HI KAMRE KI TAAK MEIN BIKHRE THE MERE WO RISHTEY. ROZ SAMET TA THA MAIN UN RISHTON KO. KABHI ZINDAGI ME UN RISHTON KI ZAROORAT MEHSOOS NAHI KARI. EK DIN JAB GAUR KIYA TO PAAYA KI KITNE AJEEB THE WO RISTEY. KABHI HANSA HANSA KE RULATE TO KABHI RULA RULA KE HANSATE THE WO RISHTEY.

ROZ KI TAREH EK DIN JAB TAAK ME APNI UNGLIYAN DAUDAI TO US TAAZI DHOOL KI CHUAN KO APNI UNGLIYON PE MEHSOOS KIYA.AB NA SIRF RISTEY BIKHARTE THE BALKI UN PAR DHOOL BHI JAMNE LAGI THI. MAIN YE SOCH KE HATASH HO GAYA KI AB MERA ROZ KA KAAM BADH JAEGA AUR GAM KHANE LAGA. LEKIN JAB NAZAR UTHA KE DEKHA TO MERE JAISE NA JAANE KITNE HI AUR LOG IS DUNIYA ME MAUJOOD THE JO MERI HI TAREH ROZ RISHTON KO SAMET TE AUR PONCHTE THE.

EK DIN MAIN AUR MERE JAISE KAI, APNA WO ROZ KA KAAM KAR RAHE THE KI TABHI MERI NAZAR US BUZURG PE PADI. USNE HUMSE KAHA “ KISI KE JAANE KE BAAD KOI CHAAR DIN KA GAM NAHI KHATA TO CHALEES DIN TO BOHAT BADI BAAT HAI.” AUR USNE KAHA “ AGAR RISHTON KO BAANDH KAR AUR DHAK KAR RAKHA JAE TO NA TO WO KABHI BIKHARTE HAIN AUR NA HI UN PE KABHI DHOOL HI JAMTI HAI.”

USKI YE BAAT SUN KAR MAIN US PAR KHOOB HANSA AUR USKA KHOOB MAZAAK BANAYA. LEKIN WO BINA PALKE JHAPKAE APNI PATHRAI AANKHON SE MUJHE GHOORTA RAHA. USKI WO GHOORTI AANKHEIN MAANO MUJH PAR TARAS KHA RAHI THI. WO MUJHE GHOORTA RAHA AUR JATA RAHA.

CHAAHE MAINE US SHAKHS KA JITNA BHI MAZAAK BANAAYA LEKIN USKI KAHI HAR BAAT MERE DIMAAG ME GHAR KAR GAI AUR SHAAYAD ISI LIYE MAINE WAISA HI KIYA JAISA US SHAKHS NE KAHA THA.

MAINE RISHTON KO BAANDH KAR AUR DHAK KAR TAAK ME RAKH DIYA. AGLE DIN DEKHA TO MERE WO RISHTEY HAMESHAA KI TAREH BIKHRE AUR DHOOL ME LIPTE PADE THE.MAIN UDAAS HO GAYA AUR KAMRE SE BAAHAR NIKAL KE DEKHA TO BAHAR JASN KA MAHAUL THA. LOG KHUSH THE KYUNKI UNKE WO RISHTEY HAMESHA KE LIYE BANDH AUR DHAK CHUKE THE.

ITNAA SAB HONE PAR BHI MAINE HAAR NAHI MAANI AUR KAAFI WAQT TAK UN RISHTON KO BAANDHTA AUR DHAKTA RAHA LEKIN WO AAJ BHI BIKHRE HAI AUR UN PAR JAMI WO DHOOL AAJ BHI UTNI HI TAAZI HAI. TAB SAMAJH ME AA GAYA KI MERE RISHTEY NA TO KABHI BANDHENGE AUR NA HI DHAKENGE.

LEKIN PHIR BHI MERA WO RISHTON KO SAMETNE AUR PONCHNE KA SILSILA CHALTA RAHA, JAB TAK MAIN CHALTA RAHA. HAALAAT BADALNE LAGE, MAIN BADALNE LAGA, WAQT BADALNE LAGA. RISHTEY KUCH HAD TAK BANDHE AUR DHAKE BHI LEKIN UTNE NAHI JITNE MAIN CHAHATA THA. ITNA BHI MUMKIN HO PAAYA KYUNKI MAIN KHUD HI KHUD KO BADAL KE UN RISHTON KE HISAAB SE DHALNE LAGA.

2 comments:

mickey said...

this work is da best i came across...it take in da memoirs as if u were there n u can feel the dust at ur tips..the smell of it.

words may fall short to describe it. i dont want to loose da intensity in translation.the words speak for emselves..

itsMJhere said...

Buddy this one is indeed a classic...
U have kept the essence alive...
If you can, please share plain recording of this post in ur voice...Will just keep it as memoir... ;)